Tuesday, April 15, 2014

Valentine Day

Valentine ka hai utsav


kahan dhoondhe tumhe ab,

galiyaan ho gayee viraan

jaati thi jo tumhare paas,

aur bund pade hain ghar ke darwaaje ,

karti thi tum jahan raj.

Kisne tumhe bulaaya ,

aisee bhi kyaa jaldi thi ,

beeta varsha bana diya ,

rulaai aur vidaai ka parv....

Na hamse kuch kahaa,

Na hamaari sunee,

chali gayee hamaari dono ma,

rah gayee sooni unkahi.

Ab dhoondhte hain tumhe ,

gulshan aur gulzar main,

taaron bhari raat mein,

bahtee nadi ki dhaar mein

aur koyal ke pukar mein.

Ab yuva dilon ki dhadkan mein,

Nanhe bachhon ki muskaan mein

bujurgon ki aas mein

basee hai tumhari yaad.

Hai shristi ke har kan mein

ab tumhaaraa vaas,

par yeh bhi to sach hai,

milenge kabhi nahi, hum, ab is sansaar mein.



( Happy Valentine day and to my mother and mother in law who both passed away past year)